Sunday, November 27, 2005

Baansury.

Baansury........


Baansury say sun kia bayaan kerthi hay………………
Aur judaiyun ke kia shakayt kerthi hay
Kay jab say mujey bansali say kata hay ………………
Meray nala say mardo aurat sab roothay hain

Main aisa seena chahti hun jo judai say para para ho…
Ta kay main ishq kay dard ke tafseel sunaon
JO koi apney asal say door ho jatha hay………………
Wo apney wasal ka zamana phir talash kertha hay

Main her mujma main roi ……………………………..
Khush oqat aur bad ahwal logon kay saath rahi
Har shakhs apney khayal kay mutabiq mera yar bana…
lekin meray ander say meray raaz ke justaju na kee

Mera Raaz meray nala say door nahi hay …………….
Lekin aankh aur kaan kay liye wo noor nahi
Badan ruh say aur ruh badan say chupi nahi hay ……..
Lekin kisi kay liye ruh dekhnay ka dastoor nahi hay

Baansury ke ye awaz aag hay, Hawa nahi hay…………
Jis main ye aag na ho, wo naistho nabood hay
Ishq ke aag jo baansury main lagi hay………………….
Ishq ka josh hay jo sharaab main aya hay

Baansury uski saathi hay jo yaar say katha huwa ho……
Is kay ragun nay humaray dil kay parday phar diye
Baansury jaisa zehr aur taryaq kis nay dekha hay……….
Baansury jaisa saathi aur aashiq kis nay dekha hay?

Baansury khatanaak rastay talaash kerthi hay………….
Majnu kay ishaq kay qisay bayaan kerthi hay
Baansury ke tarha goya hum be do mun rakhthay hain...
Aik mun uskay labun main chupa huwa hay

Aik mun rootha huwa tumhari janab hay………………...
Aasman main shoro ghul machaiy huway hay
Lekin jissay aank mayeser hay wo jaantha hay………….
Kay is seray ke aah o faryaad ushi jaanab ke hay.



..........................................Rumi

No comments: